Wednesday, 25 February 2015

Best Hindi Sad Love Ghazals Collection For Mahobbat :)

1. Aanum Teray Baghair Kab Zinda Raha Hoon Main,
Her Peher Her Gharri Yahan Merta Raha Hoon Main,
Dukh Zindagi Ko Ghayal Kertay Rehay Meri,
Ik Kerb-E-Musalsal Se Guzerta Raha Hoon Main,
Jo Log Apni Jan Se Aziz Thhay Mujhay,
Un Ke Wafa Ko Akser Tarasta Raha Hoon Main,
Bikhray Jalay Muqaam Milay Safer-E-Hayat Main,
Daaman Ko Apnay Raakh Se Bharta Raha Hoon Main,
Teri Yaad Ne Bhi Likh Dee Muqader Main Baykali,
Qismat Ke Iss Khail Pe Hunsta Raha Hoon Main,
Hain Aashnaa Yahan Meray Dardon Ke Qaaflay,
Bus Inn Ke Dermiyan He Chalta Raha Hoon Main,
Rakhta Hon Her Qadam Main Ab Phoonk Phoonk Ker,
Apnay He Saaye Se Bhi Darta Raha Hoon Main,
Aaj Hoon Main Us Jagah Jahan Manzil Nahi Shaukat,
Raston Se Bewaja He Larrta Raha Hoon Main



2. Tere Ikhlas Se Mohabbat Ki Hai,
Tere Ehsas Se Mohabbat Ki Hai,
Tu Mere Paas Nahi Hai Phir Bhi,
Teri Yaad Se Mohabbat Ki Hai,
Kabhi To Tu Ne Bi Mujhe Yad Kiya Hoga,
Me Ne Un Lamhaat Se Mohabbat Ki Hai,
Jin Main Hon Teri Meri Batain,
Main Ne Un Auqaat Se Mohabbat Ki Hai,
Aur Mehky Hon Sirf Teri Mohabbat Se,
Main Ne Un Jazbaat Se Mohabbat Ki Hai,
Tujh Se Milna To Ab Khawab Sa Lagta Hai,
Main Ne Tere Intezar Se Mohabbat Ki Hai…


3. Kabhi Sham Dhal Jaye
Koi Rasta Badal Jaye
Kabhi Ansoo Nikal Jaye
Koi Deewar Tham’on Gi
Tum’hein Phir Sey Bula’on Gi
Khodi Ko Azma’on Gi
Mein Sach Kehti Hun Meri Jaa’n
Bohat Ziada Sata’on Gi
Tum’hein Mein Yaad Aon Gi
Kabhi Dil Sey Pukaro Gey
Koi Pal Youn Guzaro
Meri Hi Deed Chaho Gey
To Meri Yaad Ka Daman
Tumhara Zabt Torey Ga
Tum’hein Pal Pal Jalaye Ga
Tum’hein Itna Sataye Ga
Key Sab Sey Dor Ho Key Tum
Kabhi Ansoo Bahao Gey
Bohat Ziada Satao Gey
Bohat Ziada Rulao Gey
Mujhey Tum Yaad Aao Gey


4. Muhabbat Is Qadar Mushkil Amal Hai
Itni Zalim, Itni Sangdil Hai
Agar Maloom Ho Jata
To Dil Key Agey Hath Rakh Deti
Sar Ko Jhuka Leti
Dil Sey Zidi Bachey Ko Mana Leti
Chaht’on Ki Rah Itni Kathin Hai
Key Apney Ghair Ho Jatey Hein
Dil Mein Dard Bo Jatey Hein
Agar Maloom Ho Jata
Bohat Safak Ho Jati
Magar Tum Sey Na Ye Sunti
Tum’hein Mujh Sey Muhabbat Hai
Kabhi Tum Sey Na Ye Kehti
Mujhey Tum Sey Muhabbat Hai


5. Tum Ko Zabt Kerna Hai
Zabt Bhi Kamal Ka
Neend Sey Nedhal Ho
Dard Be-Misal Ho
Jag Ker Bta Dena
Zakhm Zakhm Ho Jao
Phir Bhi Muskura Dena
Tum Ko Sabar Kerna Hai
Khod Pey Jabar Kerna Hai
Khar Khar Kerna Hai
Intezar Kerna Hai
Is Gulab Lamhey Ka
Aitbar Jo Dey Ga
Ikhteyar Jo Dey Ga


6. Jab Jab Sham Dhaley Gi
Dil Mein Werani Utrey Gi
Ankh’ein Bhar Ain Gi
Dil Dard Ki Sorat Dhal Jaye Ga
Jab Tu Rasta Badal Jaye Ga
To Jana’n……
Hum Tanha Jee Paen Gey
Ya… Mar Jain Gey..???


7. Mein Aaj Bohat Udas Hon
Koi Nahi
Jis Sey Dil Ki Werani Bant Sak’on
Koi Nahi’en
Jo Meray Behtay Ansoo’on Ko Rok Sakey
Koi Nai’en
Jo Ik Zara Harf-E-Tasali Dey
Koi Nahi’en
Jo Muskura Key Kahey
Apni Hasas Ankh’on Ko Takleef Dey
Ye Moti Meray Dil Pey Girtey Hein
Koi Nahi’en
Agar Hai To Bolta Kiun Nahi’en Hai


8. Koi Guzra Hua Lamha
Koi Beti Hui Sa’at
Tumharey Dil Key Band Darechay Mein Chali Aye
Tumh’ein Aisa Lagey
Key Mudat Baad
Tumh’ein Dheemi Si Methi Si
Kasak Mehsos Hoti Hai
Tumh’ein Kuch Yaad Ata Hai
To Meray Bholay Huay Sathi
Meray Na-Meharba’n
Palat Ana, Palat Ana
Key Meri Sama’at Ab Bhi
Tumhari Ahat’on Ki Muntazir Hein


9. Mein Rah Guzar Mein Khari Hui Hon
Tumhari Khatir Ari Hui Hon
Dukh’on Sey Daman Wasi Hai Mera
Inhi Mein Pal Key Bari Hui Hon
Kisi Ki Mujh Ko Nahi Hai Parwah
Mein Teray Dil Mein Jari Hui Hon


10. Hamara Dosh Hai Mana
Tum’hein Apna Jo Hai Jana
Tumharey Bin Ye Jewan Marg Jesa Hai
Hum’ein Janat Ka Har Gosha Bhi Goya Narm Jesa Hai
Haqeqat Mein Agar Socho
Muhabbat Mein Ana Ka Kam Hi Kia Hai
Chalo Ab Man Bhi Jao
Key Tum Ko Hum Manatey Hein
Hum’ein Tum Sey Muhabbat Hai


11. Pehlay Aap Btai’n Mujh Ko
Aap Ka Chehra Peela Kiun Hai?
Aap Key Kaprey Melay Kiun Hein?
Wo Neli Si Shirt Kaha’n Hai?
Aap Ka Lethar Belt Kaha’n Hai?
Ainak Key Number Kiun Badley Hein?
Kiun Dhondali Dhondali Hain Ankh’ein?
Kiun Itna Likhtey Parhtey Hein?
Aap Key In Uljhey Bal’on
Kon Waha’n Suljhata Ho Ga?
Is Wehshi Is Muztarib Dil Ko
Kon Waha’n Behlata Ho Ga?
Wo To Dasht Hai Tanhai Ka
Chain Waha’n Kaha’n Ata Ho Ga?



No comments:

Post a Comment

Comments system

[facebook]

Disqus Shortname