Tuesday, 28 April 2015

Behad khubsurat wo dulhan ka libas tha...

Jiss shaks ka zikr aksar iss nadan ki nazmon main hota hai, ussi shaks ne ek baar mujhe ek drawing di thi.. Ek angel ki drawing.. Woh drawing meri fav hai aj tak aur usse zada khubsoorat painting kuch nahin lagti..
uss painting main woh angel udaas hai, ankhein nam hai aur haathon main ek gulab hai..
Doston woh painting jab kabhi bhi dekhta hoon, toh aisa lagta hai kay usne yeh kehte hue diya tha kay jab kabhi bhi dekhoge, yehi awaz ayegi 'Main bewaffa na thi'.. magar ye sab sirf kahne ki bate hai, ek saks tha jo apni hi gf shadi ki party me gaya tha.. bahut buri thi wo raat kabhi na bhulne wali.. Sochta tha kay uspe kuch likhunga mager kabhi kalam ne saath na diya.. bas kuch usi jaisa hai............



Behad khubsurat wo dulhan ka libas tha.....
uski khubsurati ka bhi alag andaz tha....

Wo merre karib hote hue bhi itna door tha....
jo aksar faaslo par bhi rehta mere paas tha....

wo nigaho mein bhar k mujhe nibhata raha bewafai ki har rasm ko....
waqai vo pehle wafadar dhokhebaaz tha.....

ye pal khwab ban kyun merri ankho mein aya....
us raat ki tarah ye khayal bhi ek raaz tha....

badh chala vo kisi aur ki mehfil ki shaan ban'ne....
jiske haasil mein mujhe kabhi gurur tha kabhi naaz tha....

merri zindgi se rukhsati lete hue vo laut kar aya....
hum phir wahiin milenge ye uska mujhse akhri alfaz tha.....

merra har nazara dhundhla ho gya per dil ne jaan liya....
vo merri mhbt ka anjam aur uski nayi zindgi ka aghaaz tha.........

1 comment:

  1. https://www.bongshayari.com/2018/12/bengali-love-shayari.html

    ReplyDelete

Comments system

[facebook]

Disqus Shortname